Posts

Showing posts from February, 2018

Qadar pyar ki☺

Pyar ki qadar hogi tujhe... jab tera ishq tere saamne kisi or ka ho jaayega... Jab tere paas kehne ko to bhot kuchh hoga... Lekin sunne wala koi nahi hoga... Pyar ki qadar hogi tujhe... Jab padhegi wo hamaari pyar bhari baatei... Aankhei to teri bhi namm hongi... Lekin unn namm aankhon ko pochhne wala nahi hoga... Pyar ki qadar hogi tujhe... Jab tera pyar tera nahi hoga... Jab sab khatam ho chuka hoga... Tab aana mere paas ,sahaara to tab bhi dunga tumhe... Pyar jitna kal diya thha  aaj bhi dunga tumhe... Naa bhoolunga apne wo waade wo kasme jo kiye thhe... Kyuki pyar jitna kia thha maine utna hi aaj bhi karta hu chaahe yakeen ho ya naa ho tumhe...

Tum yaad karoge?❤

Ek ummeed si rehti ae ki tum yaad karoge... Der se sahi par yaad karoge... Jab tumhare saamne tumhare kiye hue saare wo kisse aayenge... Jab tumhare paas yaadei to hongi par hum nahi honge... Haan! Ummeed to si to rehti ae ki tum yaad karoge... Lekin ab kis baat ki humdardi jab sab khatm ho hi gaya... Jab yeh mausam apna rukh badlega... Jab tumhaara aanchal tumse nahi sambhlega... Jab ek shaam mohobbat ki hogi... Jaha hum nahi sirf hamaari yaadei hongi... Haan! Shayad tab hi tum yaad karoge... Lekin ummeed si rehti ae ki tum yaad karoge...!

Iss laayak nahi ho tum!

Kuchh sawaal hai mere tumse jo main sirf tumse puchhna chahta hu kyuki tumhare or mere beech mein dubaara mohobbat ho iss laayak nahi ho tum...! Kya wo bhi aise hi tumhe mana leta hai jaise main manaya karta thha jab rooth jaati thhi tum? Kya tum bhi uske utne hi pyar se haath pakad lia karti ho jaise mere pakda karti thhi tum? Kya apni nayi mohobbat se aankhein mila leti ho unn pyar bhari baaton ke dauran jaise meri aankhon mei doob kar tum pyar bhari baatei karlia karti thhi? Kya wo itni mohobbat se tumhe mohobbat de paata hai jaise main dia karta thha? Kya kaha thha tumne ki mere baad tumhe or koi nahi milni lekin kya tumhe mila koi mere jaisa? Ab main tumse dubaara mohobbat karu? Tumhari zindagi mei aau? Nahi! Kyuki ab tumhare or mere beech mein mohobbat ho iss laayak nahi ho tum!

Yun toh❤

Yun to bhule hain hum log bhot se par tumhare jitna unme se koi yaad nahi aya... Yun to pyar kara har rooh se par zindagi mei koi tumhare baad nahi aya... Ruk jaata hu chalte chalte tumhari galiyo mein yeh sochkr ki kahi jo guzar gaya meri zindagi se wo mere saath to nahi aya... Yun to bhot kisse hai mujh par logo ko sunane ke lie par jo dard tera kissa sunane mei aaya vo kisi or mei nahi aya... Yun to bhot si shaame hai rangeen banaane ko lekin jin shaamo mei tera saath hota tha wo ab mere saath nahi aya... Yun to hum dubaara bhi ishq kar sakte thhe lekin tumhare baad tumhare jaisa koi zindagi mein nahi aya...

Kuchh der ka saath💛

Zindagi se bhi aage ka safar dikhaakar... Inkaar ko bhi ikraar bana kar... Fir haath pakadkar gale lagaakar... Meri dhadkan ko apna banakar... Saath mere kuchh waqt bitakar... Mere sapno mei mujhe sataakar... Fir meri hi raato ki neend udaakar... Umar bhar ka intezaar dekar... Halaato ki mazboori batakar... Koi laut gaya mere saath do kadam badhaakar... Ae dil jo shaqs tujhe naa sambhal saka tu uski yaadei kyu sambhaalta ae? Qubool hui meri barbaadio ki dua to khuda se gila kaisa? Wo sunta ae bando ki chalo itna to saabit hua...

Ek sawaal❤

Har raat mei din ab or dino mei raat hai... Meri aankho mei tu or tere khwaab hai...! Wo ghanto tak chalti teri meri baate sach bata kya tujhe yaad hai...? Log kehte hai mujhe ki main bhul jau tujhe tu ek puraani guzri hui baat hai... Kaise samjhau unhe ki tu baat nahi balki ek jazbaat hai...! Paas nahi kaafi dur thhe hum... Rishta jism ka nahi rooh ka thha... Sach bata kya tujhe is baat ka zara bhi ehsaas hai..? Raatei beeti din guzre mausam guzre magar dil k vahi haalat hai... Mere dil mei dhadkan tere naam ki zehn mei tere hi khyal hai... Hum do jism ek jaan aisa kaha tha tune kabhi... Sach bata kya tujhe aisa kuchh yaad hai...? Mujhe nahi pata ki mere ye shabd tujh tak pohoche na pohoche vo alag baat hai... Mujhe kal bhi tujhe paane ki aas thhi mujhe aaj bhi tujhe paane ki aas hai... Vo ghanto tak chalti teri meri kasmo bhari baatei sach bata vo kasme kya tujhe aaj bhi yaad hai..?