Posts

Showing posts from March, 2018

2 saal ka pyar...

Inn dooriyon mei chhupi hui nazdeekiya talaash laate hai... Bhot thhak gaye ho? Chalo fir ishq talaash laate hai... Ki usne pathhar chalaya hota to mera dil shaayad na toot ta... Jazbaato ke fool thhe saahab, pathhar se bhi bhaari pade! 2 saal mere dil mei rehkar wo laut ti hai to laut jaaye... Main kiraaya nai maangta... Kambakht koi nishaani to dekar jaaye! Har baat pe shart or har kadam pr faayeda dekhti ho... Aashiq ho ya ishq ka dhandha karti ho? Uski mohobbat ki duniya ke alag rasmo riwaaz hai... Katal bhi mera hoga or gunaah bhi mujhpe lagega! Ishq ko ishq rakhta hu main aankhon kaa andhapan nai banata... Baat dil mei rakhta hu kabhi kisii ke saamne zahir nai karta...! Ishq ibaadat hoti hai buzurgo ne sikhaya thha... Ab akela rehta hu par aashiqui sasti nai karta! Usse aadat nai hai bheed bhaad mei rehne ki... Islie dil m sirf usse rakhta hu zydada bheed nai karta!

Ek intezaar❤

Alfaazon ko kaagaz pe utaarna aasaan nahi hota... Likhte wo hai jinke dil toote hote hai... Starting from here- Ki mujhe naa kuchh khabar thhi har baat se anjaan thha... Tujhe apne dil mei rakhne wala ye shaks pareshaan thha... Har shaam tanhaayi mei baitha sirf yahi socha karta thha... Ki tera intezaar karu main ya tujhe bhool jana aasaan thha... Kyu tujhse main baatei karta? Kyu teri baato pe marta thha? Kyu mujhko hichki aane par yaad tujhiko karta thha? Kabhi teri aankho m dooba kabhi baaton mei kho jaaya karta thha? Kyu main tujhse milne ka ya tujhe dekhne kaa bahana khoja karta thha? Har subah jab main uthhta... Suraj se ladkar fir sojaya karta thha... Uss adhoore sapne ko pura karta jisme tu aati or roz raat ko aaya karta thha... Sote mei mera thhoda thhoda muskuraana meri maa ne mujhe bataya... Sote mei tera aana or mera muskuraana... Haske main unse ek raaz chhupaya karta thha...