Kya tum samajhti ho?😑
Haan main samajhta hu par kya tum samajhti ho..?
Jab maine apne dosto or tum mei se tumhe chuna...
Kya tum samajhti ho..?
Aaj tak kisise seedhe muh baat nai kari par tumhe babu bana diya yarr...
Kya tum samajhti ho?
Apni 3 saal ki dosti tumhari 3 mahine ki attachment k liye maine sacrifice kardi...
Par kya tum samajhti ho..?
Haan tum chaahe meri sirf dost hi ho lekin agar maine tumse waada kiya ki main hmesha care karunga to karta hu...
Lekin kya tum sach mei samajhti ho..?
Tumhare against ek word bi sunna mujhe pasand nahi pr vhi agar tumhare liye main kisise lad jau to tum mujhse disturb hojaati ho... main aisa kyu karta hu..?
Kya tum samajhti ho..?
Main kisise thhoda pyar se baat karlu to kitna sunati ho par vahi tum kisii or ko pyar bolo... haan yarr hota hu main jealous...
Par kya tum samajhti ho..?
Comments
Post a Comment