Ek intezaar❤

Alfaazon ko kaagaz pe utaarna aasaan nahi hota...
Likhte wo hai jinke dil toote hote hai...
Starting from here-
Ki mujhe naa kuchh khabar thhi har baat se anjaan thha...
Tujhe apne dil mei rakhne wala ye shaks pareshaan thha...
Har shaam tanhaayi mei baitha sirf yahi socha karta thha...
Ki tera intezaar karu main ya tujhe bhool jana aasaan thha...
Kyu tujhse main baatei karta?
Kyu teri baato pe marta thha?
Kyu mujhko hichki aane par yaad tujhiko karta thha?
Kabhi teri aankho m dooba kabhi baaton mei kho jaaya karta thha?
Kyu main tujhse milne ka ya tujhe dekhne kaa bahana khoja karta thha?
Har subah jab main uthhta...
Suraj se ladkar fir sojaya karta thha...
Uss adhoore sapne ko pura karta jisme tu aati or roz raat ko aaya karta thha...
Sote mei mera thhoda thhoda muskuraana meri maa ne mujhe bataya...
Sote mei tera aana or mera muskuraana...
Haske main unse ek raaz chhupaya karta thha...

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Vapis aana chahogi