2 saal ka pyar...

Inn dooriyon mei chhupi hui nazdeekiya talaash laate hai...
Bhot thhak gaye ho?
Chalo fir ishq talaash laate hai...
Ki usne pathhar chalaya hota to mera dil shaayad na toot ta...
Jazbaato ke fool thhe saahab, pathhar se bhi bhaari pade!
2 saal mere dil mei rehkar wo laut ti hai to laut jaaye...
Main kiraaya nai maangta...
Kambakht koi nishaani to dekar jaaye!
Har baat pe shart or har kadam pr faayeda dekhti ho...
Aashiq ho ya ishq ka dhandha karti ho?
Uski mohobbat ki duniya ke alag rasmo riwaaz hai...
Katal bhi mera hoga or gunaah bhi mujhpe lagega!
Ishq ko ishq rakhta hu main aankhon kaa andhapan nai banata...
Baat dil mei rakhta hu kabhi kisii ke saamne zahir nai karta...!
Ishq ibaadat hoti hai buzurgo ne sikhaya thha...
Ab akela rehta hu par aashiqui sasti nai karta!
Usse aadat nai hai bheed bhaad mei rehne ki...
Islie dil m sirf usse rakhta hu zydada bheed nai karta!

Comments

Popular posts from this blog

Vapis aana chahogi