Ek ladki hai💘

Jo lafz zubaan tak nahi aate mere wo unhe bhi pehchaanti hai...
Ek ladki hai jo mujhe mujhse zyada jaanti hai...
Main naa sunu to gusse mei aati hai main sunlu to muskuraati hai...
Main udaas hu to smjhati hai main chup hu to sehlaati hai...
Main gussa hu to mujhe manaati h meri naakamiyaabiyo par apna haq jataati hai...
Thhodi besuri hai par gaakar sunaati hai...
Main pareshaan naa karu to pareshaan ho jaati hai...
Ek ladki hai jo mujhe mujhse zyada jaanti hai...
Main ummeed na tod du islie mera haath thaamti hai...
Mujhse zyada mere sapno ko wo haqeekat maanti hai...
Usse raasto ki parwah nai hai wo khudko leher maanti hai...
Ek ladki hai jo mujhe mujhse zyada jaanti hai...

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Vapis aana chahogi