Faasle ka faisla karlia hai🙄

Jo karte thhe vaada kabhi naa chhod ke jaane ka...
Aaj unka mann nai karta laut ke aane ka...
Naa aankhon me sharm naa zehen me darr zamaane kaa...
Mazaak banake rakh dia hamaare pyar ke fasaane kaa...
Judaai ke kuchh mahino baad ek roz vo mujhse takra gayi...
Ek baar to dil ko dhhakka sa laga kahi vaapis to nai aagyi...
Fir socha ye pal shayad chhalaave ke hai...
Iske chehre ke jo rang h vo sab dikhaawe ke hai...
Ab daaye(right) baaye(left) dekha to puuchh hi baithhe inn aansuon ki vajah hum hai ya kuchh gir gaya hai aankhon me?
Or dekhaa jaaye to puchhna banta bhi thha kabhi ek hua karte thhe unke lie laakho mei...
Jawaab kuchh naa sooja to puchhne lagi kese ho?
Kadam aage badha lie ya ab bhi pehle jaise ho?
Maine kaha kya karogi jaanke?
Ab to zamaana hogya gade murde ukhaadne se kuchh naa milega wo kissa to puraana hogya...
Ab kya matlab banta hai unn panno ko firse padhne kaa...
Tere aansu ab kaam naa aayenge faisla karlia hai aage badhne kaa...

Comments

Popular posts from this blog

Vapis aana chahogi