Yaadei meri❤

Khud pe meri mohobbat ka asar paayegi...
Ek din yaadei meri aankhei teri bhar laayengi...
Chala jaunga ek din hamesha ke lie teri raaho se...
Jab kisii or ko basaa legi apni baaho mei...
Dhoondhti rahio fir kabhi nai milunga tujhe...
Kabhi to ehsaas hoga kyu pyaar nai kia tune mujhe...
Jab main nai hounga sirf meri yaadei sataayengi...
Haa ek din yaadei meri aankhei teri bhar laayengi...
Jab hojaayegi tu kisii or ki to shayad dekh nai paaunga...
Usse pehle hi teri zindagi mei apne hone ka ehsaas kho jaaunga...
Chala jaaunga tujhse door kahi dhoondh naa payegi...
Ek din yaadei meri aankhei teri bhar laayengi...
Door talak jab chaand niklega dekh usse muskaayegi...
Lekin mann hi mann jab uss chaand ko dekhke tujhe meri ki hui tere lie saari tareefei yaad aayengi...
Wo yaadei bhi teri aankhei bhar layengi...
Shauk nai thha likhne ka par tujh tak ye baat pohochana chahta hoon...
Kal bhi tera tha kal bhi tera hounga or aaj bhi tera hi hoon...
Apna waada kia pura nibhaaunga...
Lekin tu kahi or gayi to tere paas kabhi laut ke nai aaunga...
Haa vahi teri care krne vaali yaadei teri aankhei fir bhar laayengi...
Ek tere saath waada kia thha ki tujhse hi pyar karunga jo aaj bhi nibhaara hoon...
Aaj ek aur waada karta hoon ki agar gayi tu kisi or ke paas to samajh lio hamesha ke lie main bhi jaara hoon...
Tu jaanti ae apne waado ka pakka hoon tabhi aaj tak nibhaara hoon...
Yaa to ab tu mujhe bhul jaayegi yaa meri yaad tujhe hamesha aayegi...
Par jis din hamesha ke lie chala gaya uss din yaadei meri aankhei teri bhar laayengi...
Haan meri mohobbat ka khud par tu asar paayegi...

Comments

Popular posts from this blog

Vapis aana chahogi